Sunday, September 20, 2009

Gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

hey guys i just wrote a poem today...
pls read it and comment...

rabb na kare ke ye jindagi yu hi gujar jaye...
gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

gam ki dhoop mein tadap raha hai yeh dil,
ek lamha muskan teri pe fida hai yeh dil,
tanhaian nahi sehta, rone ko karta mera man hai,
rabb na kare ke ye jindagi yu hi gujar jaye...
gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

tere saath chalte hota hai mehsoos kya,
jitna bhi karoon shor hota nahi byan,
tere bina jine ki tammana abb kam hai,
rabb na kare ke ye jindagi yu hi gujar jaye...
gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

tere mere bare mein log ab batein karte hain,
tera naam lekar mujh par hansa karte hain,
tu na bole to ankhen bhi yeh hoti nam hain.
rabb na kare ke ye jindagi yu hi gujar jaye...
gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

naraaj hokar kabhi humse door mat jana,
shikwa shikayat ho agar to hamein hi batana,
jaroorat kabhi pade to hazir teri gali mein 'charan' hain,
rabb na kare ke ye jindagi yu hi gujar jaye...
gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

rabb na kare ke ye jindagi yu hi gujar jaye...
gujar jaye kisi ki yaadon mein to kya gam hai?

No comments:

Post a Comment